Post

Afsos

Meri ada-e-naaz ban gayi hai afsos karna
Pehle chup rehna phir sada pachhtaate rehna
Kisi ek lamhe ke intezar mein zindagi bitana
Phir apne aap us lamhe ko khote hue dekhna

Baat baat par hichakna aur jhijhak jaana
Sab se nazrein churana, sab se sharmana
Kisi zaroori baat par chup reh jaana
Apne dil mein he sab kuch keh jaana

Lagatar chup rehna aur phir ghabra jaana
Sochna kuch aur kuch aur he bol jaana
Tumhe dekhna aur dekh ke pighal jaana
Thoda bigadna aur phir sambhal jaana

Zindagi mein fursat hoti to kitna aasan hota
Har ek ganwaaye lamhe ko yaad karte rehna
Sochte rehna ki kya bol kar Jeet sakta tha
Chahna ki phir kabhi saamna ho phir baat ho

This post is licensed under CC BY 4.0 by the author.

Trending Tags